Saturday 10 May 2014

Beauti Tips Beauty Tips In Urdu For Hair For Skin In English Tumblr For Face Whitening In Hindi For Face For Girls For Women

Beauti Tips Biography

Source(google.com.pk) 
Fitri Moawanat: (Beauty Tips for Natural Foods)

Bohat si fitri ghezaein jild ki sehat aur khobsorti mein ezafe ka zarya banti hein. In ghezaon mein se aik lemo ka juice hai.

Beauty Tips for Lemon Juice:

Ap ager 1 glass boiled milk (balai samet) mein 1 lemon nichod kar aur 1 chaey ka chamcha glycerin shamil kar ke aadhe ghante tuk pada rehne dein aur pher es malghobe ko chehre, hath, garden aur pao pe raat ke waqt lagaein aur ye estamal rozana rat ko ba-qaedgi se jari rakhein to ap jawan sal aur pur kashesh nazar aane lage gi.

Beauty Tips for Peach: (Aado ka chilka)

Aado ka chilka jild ki rangat mein behtari lane mein zabardast moawanat karta hai. Aado ke rang jesi rangat es ka mamoli natija hoti hai. Es ke estamal ka tariqa kar ye hai ke aado ka chilka utar lein aur es ka andaroni hissa rozana rat ko chehre per narmi ke sath chand minute tuk ragdein. Ragadne ke bad chehre per lagne wali ratobat ko saf na karein. Yani rat bhar lagi rehne dein. Ye ratobat jild ko umda tareqe se saf kar de gi aur masam khul jaein ge. Aado ki jild mein mojod made insani jild ko kasne mein madad dete hein. Es ka estamal chehre ke patho ka dhila pan dor kar ke bafto ko latakne se mehfoz kar deta hai. Chnancha chehra jawani ke dor jesi shadabi aur kasao ki jhalak dene lagta hai.

Beauty Tips for Sangtara and Orange: (Sangtare aur malte ka juice)

Sangtare aur malte ka juice bhi chamak-dar ranggat ke liye nehayat muffed sabit hota hai. Sangtare ke khalis juice (es mein pani ya kuch aur shamil na kiya gaya ho) mein ungliyan bhigo kar inhein achi tarha chehre, thodi, garden aur peshani per malein. Chand roz mein chehre ka nikhar numaya ho jae ga. Kache sangtaron ke beaj dhop mein khushk kar ke enhein pice kar safof bana lein. Es safof ka pest agar rat ko phansiyon aur acne pe laga ya jae to jild saf ho jati hai.

Beauty Tips for watermelon: (Tarboz ka juice)

Jild ki chaiyan saf karne ke liye tarboz ka juice nehayat kar-aa-mad hai. Es maqsad ke liye tarboz ka 1 chota sa tukda bhi kafi rehta hai. Es tukde ko kado-kush kar ke aur pher nichod kar juice nikal lein. Ye lotion ya juice 15 minute tuk chehry (face) aur garden per lagaein aur pher nim garam pani se dho kar thande pani ke chetein marein.

Beauty Tips for Tomato: (Tamater)

Tamater ka beroni estamal bhi aik muffed cosmetics hai. Es ka goda achi tarha chehre per malein aur chehre ko 1 ghante tuk esi tarha rehne dein. Pher nem garam pani se dhoien. Es ka rozana estamal chehre ki rangat nikhar deta hai aur bad-numa kel aur phansiyon ko mukhtaser se arsa mein dor kar deta hai.

Beauty Tips for Cucumber: (Khera)

Kado-kush kiya howa khera (cucumber) 15 se 20 minute tuk chehre, aankhon aur garden pe mala jae to ye na sirf husn afza sabit hota hai balke chehre ki jild ke liye aik behtareen tonic ka kaam karta hai. Es ka ba-qaeda estamal aur mamol, kel, phansiyon, blackheads, jhuriyon aur khushki se mehfoz rakhta hai.

Amernath (cholai ke saag) ka juice:

Amernath (cholai ke saag) ke juice mein chutki bhar haldi shamil kar ke es ka chehre (face) per estamal, jild ka rang saf karne ke elawa ese khushki aur jhuriyon se tahafuz deta hai aur kel, phansiyon ka elaj kar ke chehre ko shadab bana deta hai. Agar es ke juice mein lemon aur milk bhi shamil kar liya jae aur pher narmi ke sath chehre aur garden pe es ka massage kiya jae to rozana aadhe ghante ka ye mamol chehre ki tarotazgi barqarar rakhta hai aur miskin tonic sabit hota hai. Ye mamol rozana raat ko sone se pehle apnain aur aadhe ghante ke bad nem garam pani se chehra dho lein.

Beauty Tips for Fresh Green Mint: (Taza sabz podine ka juice)

Taza sabz podine ka juice rozana rat ko chehre per chehre per lagain to kel, phansiyan ghaeb ho jati hein aur jild ki khushki se tahafuz milta hai. Yahi juice agar eczema aur jild ki sozish ke muqam per lagain to muffed nataej hasil hote hein.

Beauty Tips for Radish Seeds: (Moli ke beaj)

Moli ke beaj, bleaching mada rakhte hein aur agar moli ke bejon ko pani ke sath emulsion bana kar chehre per lagaya jae to blackheads aur jild ke dhabe tehlel ho jate hein. Dad aur fungus ki chot mein bhi lagana muffed rehta hai.

Beauty Tips for Almond Paste: (Badam ka pest)

Badamon ka pest (maleda), halki halki cream aur gulab ki taza kaliyon ka pest rozana chehre per lagana moasar qisam ki beauty add hai. Ye jild ko mulaem aur saf (ranggat ke aetbar se) karti hai. Gulab aur badam jild ki marghob tareen gheza hein. In ka ba-qaeda estamal qabal-az-waqt budhape ki jhuriyon, blackheads, jild ki khushki, kel, phansiyon aur acne se mehfoz rakhta hai aur chehra tarotaza rehta hai.

Beauty Tips for Red Lentils and Yogurt: (Masor ki daal aur dahi ka peste)

Masor ki daal aur dahi ka pest agar chehre per mask ki tarha lagaya jae to ye jild ko saf karta hai aur ese chamakdar banata hai. Sokhne per ese ungliyon se utarein aur pher pani se chehra dho lein. Es pest mein agar nem ke patton ka juice chand qatre mila liya jae to kel, phansiyon ka tadarik ho jata hai.

Kache kale chano ka aata yani besan:

Kache kale chano ka aata yani besan bhi nehayat moasar cleansing agent hai aur es ka ba-qaeda estamal yani chehre per lep jild ko bleach kar deta hai. Jild ki tamam allergy ki bimariyon mein maslan eczema, sozish aur kharish mein besun se jild ko dhona muffed rehta hai. Phansiyon aur kelon ke elaj ke tor per bhi besun karaamad hai. Besun ka pest banane ke liye ese dahi mein milain aur chehre per lagane ke thodi der bad dho dalein.

Beauty Tips for Yellow Lentils: (Mong ka aata)

Mong ka aata bhi umda detergent hai. Ese sabun ki jaga estamal kiya ja sakta hai. Ye dhol aur matti ko masamo se nikal deta hai aur ksi qisam ka jildi eshtaal la-haq nahi hota. Chehre pe es ka lep rung saf kar deta hai aur ranggat nikhar jati hai. Shehad, zeton ka oil, haldi aur sandal (chandan) ka mixture khushk aur murjhai hoi jild ko pher se jawan sal bana deta hai.

Drink at least eight glasses of water a day. The reason is that water can carry waste material out of our body and it really helps heal and prevent acne flare-ups.
Avoid squeezing pimples. Bacteria on your hands or on unsterilized equipment can lead to more blemishes and possible scarring.
Wash your face with a gentle cleanser, twice a day or after excessive sweating. Using juice extracted from a fresh tomato or cucumber to cleanse your face will help to remove excess oils and flush the pores, Leave the juices on your face for five minutes before rinsing them off. Rinse the juice off sooner, if irritation occurs.
Try to avoid touching your face. There’s a lot of oil on your fingers and touching you face can transfer these oils to your skin and clog your pores.
Avoid popping, picking or squeezing your acne. Popping a pimple 
may reduce it temporarily, it pushes the bacteria within the acne to spread to surrounding skin tissue.

Beauty Tips In Urdu For Hair For Skin In English Tumblr For Face Whitening In Hindi For Face For Girls For Women

1 comment:

  1. Have a fair and glowing skin with home products, with out expensive skin whitening products. Everyone wants to have whiter and fair skin, and use different skin whitening tips, to satisfy their desire for white skin. The enthusiasm of the skin whitening.. I love it.. Skin Care Tips

    ReplyDelete